Aankhein Khuli - Lata Mangeshkar/Udit Narayan/Ishaan/Shweta Pandit
Ek ladki thi deewani si
Ek ladke pe wo marti thi
Nazrein jhuka ke sharma ke
Galiyon se guzarti thi
Chori chori chupke chupke
Chitthiyan likha karti thi
Kuchh kehna tha shayad usko
Jaane kis se darti thi
Jab bhi milti thi mujhse
Mujhse poochha karti thi
Pyaar kaise hota hai
Yeh pyaar kaise hota hai
Aur main sirf yehi keh pata tha
Aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai
Hey aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai
Aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai
Aaj hi yaaron kisi pe mar ke dekhenge hum
Pyaar hota hai yeh kaise karke dekhenge hum
Kisi ki yaadon mein khoye hue
Khwaabon ko humne saja liya
Kisi ki baahon mein soye hue
Apna use bana liya
Ae yaar pyaar mein koi
Ae yaar pyaar mein koi
Na jaagta na sota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai
Kya hai yeh jadoo hai koi bas jo chal jaata hai
Todke pehre hazaaron dil nikal jaata hai
Door kahin aasmaanon par hote hain yeh saare faisle
Kaun jaane koi humsafar kab kaise kahaan mile
Jo naam dil pe ho likha
Jo naam dil pe ho likha
Ikraar usi se hota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai
Aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Aankhein khuli ho ya ho band
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon main o yaara yeh pyaar kaise hota hai