Kadar Na Jaane - Ipsitaa/Surabhi Dashputra/Arjuna Harjai
Lyrics by:Surabhi Dashputra
Produced by:Arjuna Harjai
Karega pyaar ki woh baatein banega woh bechara
Tujhe ye bhi main bataa doon rahega woh aawara
Milne ka jab main boloon deta koi bahaana
Kehta hai har kisi ko uska hi woh deewana
Kadar na jaane daiyaa na jaane re
Kadar na jaane saiyaan na jaane re
Kadar na jaane kadar na jaane
Hui baimani re
Aankhon ke padh na sakey jo ishaare
Aise nikammon se dil na laga re
Jhoothi ye kasmein hain jhoothe ye laarey
Bhaad mein jaayein ye saare ke saare
Abhi tu sunti jaa rahi hai kahein jo uski aankhein
Phir na aaengi samajh me samajhdaari ki baatein
Abhi dekhe tu uske sapne wahi teri kahaani
Aur bewajah phirey tu ban ke uski deewani
Par woh toh
Par woh toh
Kadar na jaane
Daiyaa na jaane re kadar na jaane
Saiyaan na jaane re kadar na jaane
Kadar na jaane
Hui baimaani re
Na jaane na jaane kadar kadar
Na jaane na jaane kadar na jaane
Hui baimaani re